Saamney Manzil Thi aur Peechay Us Ki Aawaaz


Saamney Manzil Thi
aur Peechay Us Ki Aawaaz,

Rukta to Safar jata
Chalta To Bichad jata,

Mehkhana Bhi usi ka tha
Mehkaar Bhi usi ki,

Agar peeta to emaan jata
na peeta to Sanam jata,

Sazaa aisi mili mujh ko
zakhm aise lage Dil par,

Chupaata to jigar jata
Sunata to bikhar jata,

Mere gham ki dawa na thi
Siwaye yaar ke koochay ke,

Main jaon To kidhar jaon
main jata To kidhar jata.