Iss shehr k logon say waffa mang raha hun
aur soch may dooba hun k kya mang raha hun
yae sab nay saja rakha hai jo apni jabeen par
mai dil pay bhi ik aisa nishan mang rha hun
iss sookhay huaye khait ka jo rang badal day
us rehm ki barish ki dua mang rha hun
pathar ka talabgar hun sheeshay k nagar may
kya mang rha hun mai kahan mang raha hun
tu bandh k zulfon say mujhay dil may bitha lay
mujrim hun tera tujh say saza mang raha hun
pehloo mai teray sir ho mera, mout jab aye
bas itna karam waqt-e-naza mang raha hun
mai kon hun kya hun mai yahan kis liye aya
mai khud say khud apna hi pata mang raha hun
do lafz meray naam bhi likh day kabhi "yousha"
mai tujh say waffaon ka sila mang raha hun