Khud Apne Liye baith K Sochen Ge Kisi Din
Yoon Hai K Thujhe Bhool K Dekhen Ge Kisi DIn
Bhatky hue Phirte hain kai lafz jo dil me
Duniya ne dia Waqt to likhen ge kisii din
Hil jaen ge ik baar to arshon k Dar-o-Baam
ye Khaak nasheen log jo bolen ge kisi din
Aapas ki kisi baat ka milta hi nahi Waqt
Har baat ye kehte hain k baithen ge kisi din
Aai jaan teri yaad k be-naam parinde
shaaKhon pe mere dard ki utaren ge kisi din
Jaati hai kisi jheel ki gehrai kahan tak
Aankhon me teri Doob k dekhen ge kisi din
Khushbu se bhari shaam me jugnu k qalam se
ik nazm tere vaaste likhei ge kisi din
Soyen ge teri Aankh ki Khalvat me kisi raat
saaye me teri zulf k jaagen ge kisi din
Khushbuu ki tarah asl-e-sabaa Khaak numa se
Galiyon se tere sheher ki guzaren ge kisi din
hai yehi ab k kafan baandh k sir se
Us Sheher-e-Sitam gaar me jaen ge kisi din...