Zikar unka hi aata hai mere fasane mein


Zikar unka hi aata hai mere fasane mein
jinko jaan se zyada chaha zamane mein
tanhaai mein unki hi yaado ka sahara mila
Nakamyab rahe jinhe Hum bhulane mai...

Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao,


Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao,
Bahut Tanha Hon Main Aaj Kash Tum AaJao,
Kabhi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Maine,
Par AaJ Bikhar Gye Hon Main Kash Tum Aa Jao,
Kaafi Din Se Ji Rahe Hoon Bin Teray,
Aaj Nai Guzar Raha Ek Pal Kash Tum Aa Jao,
Waqat Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Hai,
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum Aa Jao..