Naya Saal aaye banke Ujala

Naya Saal aaye banke Ujala,
Khul jaye Aap ki Kissmat ka Tala,
Hamesha Aap per rahe Meherban Upar wala,
Yahi Dua karta hai apka yeh chahne wala…

Raat ki khamoshi raas nahi aati

Raat ki khamoshi raas nahi aati…
meri parchayi bhi ab mere paas nahi aati…
aati hai toh bus aapki yaad
jo aakar ek pal bhi mujhse door nahi jaati…

Apni zindagi mein mujh ko kareeb samajhna

Apni zindagi mein mujh ko kareeb samajhna,
Koi ghum aaye to shareek samjhna,
de denge muskurahat aansoon k badlay,
Magar hazaron mein thora azeez samjhna…..

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena,
Is Dunia Se Nahi Apne Dil Se Puch Lena,
Apke As Pas Hi Kahi Rehte Hain Hum,
Yado Se Nahi To Sath Guzare Lamho Se Pooch Lena…

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai
Chot Khane Ki,
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki,
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate,
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki…

Hum tumhay paa kar khona nahi chatay

Hum tumhay paa kar khona nahi chatay,
Judai mein aap ki rona nahi chatay,
Aap humaray hi rehna humesha pyaar bankar,
Hum bhi kisi or ka hona nahi chatay….

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.

Unke liye jb humne bhatkna chhod diya

Unke liye jb humne bhatkna chhod diya,
Yad me unki jab humne tadapna chhod diya...
Wo roye bahut humse lipatkar,
Magar tab jab hamare dilne dhadkana chhod diya....

Har sagar ke kuch kinare hote hain

Har sagar ke kuch kinare hote hain
kuch log zindagi mein jaan se bhi pyare hote hain
ye zaruri nahi har koi aapke paas ho
kyonki zindagi mein yadon ke bhi sahare hote hain…

Din hua toh raat bhi hogi

Din hua toh raat bhi hogi,
mat ho udaas kabhi toh baat bhi hogi,
itne pyaar se mohabat ki hai,
agar zindagi rahi toh mulaqat bhi hogi…
`
Koi door ho kina hi toh kya gham hai ,
who apna toh hai yeh kya kam hai ,
chahe na ho baat na ho mulaqaat toh kya gham hai ,
yaad hamein karke who ek baar muskura de yeh kya kam hai…
`
Tu nahi to zindigi mein kya reh jaega.
Door tak tanhaiyon ka silsila reh jaega.
Zindigi ke har kadam per saath chalna.
warna tera yeh humsafar akela hi marr jaega…
`
Dostonki judaika gam na karna,
Door rahe to bhi mohabbat kam na karna,
Agar mile zindagike kisi mod par,
To hame dekhkar aankhein band na karna…
`
Har wakt tere aaneki aas rehti hai,
Har pal tujhse milneki pyaas rehti hai,
Sab kuch hai yahan bus tu hi nahi,
Isiliye shayad yeh zindagi udas rehti hai…
`
Dete hai kyu yeh Dard bas hami ko,
kya Samjhenge woh in Aankho ki nami ko,
lakho Deewane ho jis Chand ke,
woh kya Mehsus karega Ek Tare ki Kami ko…
`
Kitni Raten beet gayi, Kitne din beet gaye
bas beeta nahi to yadon ka wo pal,wo guzra huva kal
beeti nahi to ankhon ki nami,aur ap ki kami…

Saza Pe Chhod Diya Jaza Pe Chhod Diya

Saza Pe Chhod Diya Jaza Pe Chhod Diya
Har Ek Kaam Ko Humne Khuda Pe chhod Diya
Woh Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Us Ki Raza Pe Chhod Diya…

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar
Log Aksar Dhoka Dete Hai Kareeb Aakar
Kahti Hai Ye Duniya Par Ye Dil Nahi Maanta
Ek Din Chor Jaoge Aap Bhi Hume Apna Banakar…

Ab humse intezar nhi hota…

Ab humse intezar nhi hota…
Itna mehnga to kisi ka pyar nahi hota…
hum jisk liye huye ruswa zamane mei…
wo ab bat karne ko bhi taiyar nahi hota…

Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai

Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai,
Humko ab tak, Aashiqui ka, wo zamana yaad hai…
Aisa lagtaa hai, ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai…

Tum ho tu muje sab silsile achay lagty hain,

Tum ho tu muje sab silsile achay lagty hain,
Muje tumhari Dosti kay kay gilay achay lagty hain,
Buhat door tak jana magar loot anna,
Muje tumse tumhi tak faslay achay lagty hain…

Dosti me sab yaad nahi rahte

Dosti me sab yaad nahi rahte
Kuch ko bhulaana bhi Padta hai.
Isme sab hasil nahi hota
kuch Gavaana bhi padta hai…

Dard ko chupate hain hum,dard dikhane ki adat nahi

Dard ko chupate hain hum,dard dikhane ki adat nahi
khud ashk pee jate hain hum,dusron ke ashk bahane ki adat nahi.

Humari dil ki awaz to puhach jati hai un ke dar pe,
per shayad unhe dil tak puhchane ki adat nahi.

Na kisi ki hamdardi na kisi ka pyar chahiye
per yun nafrat main jal janey ki adat nahi.

Ashk to aaj bhi un ki yaad main aate hain
per kisi ke peechay par janey ki adat nahi.

Rona to ab adat si hai humari
per ansoon ke selab main doob janey ki adat nahi.

Kash nafrat hum bhi dhar lete unki tarah
per yun pathar dil ban janey ki adat nahi.

Bhulana to chahte hain hum bhi unhe
per yun kisi ki yaden mitane ki adat nahi

Dard ko chupate hain hum…

Aap kee yaad Aapkee yaad ki khushboo se mahaktaa

Aap kee yaad Aapkee yaad ki khushboo se mahaktaa hai dil
Aapke pyaar ke dam se hee bahaltaa hai dil

DhoonDhte the kabhee jeene kaa bahaanaa ham to
Zindagee aaj milee hai to machaltaa hai dil

Thee bahaaron kee tamannaa mere armaanon ko
Aap aaye jo khayaalon men to gaataa hai dil

Gham milaa hai to vo khushiyaan bhee kaheen door naheen
Dee jo takdeer ne dastak to uchhaltaa hai dil

Koyee saakee nahee koyee jaam yaa botal bhee naheen
Aapko khwaab men dekhaa to bahaktaa hai dil

Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon

Dear Jaan,

Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon,
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon.
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha,
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon.
Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin,
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon.
Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin,
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon.
Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon.

Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni

Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Is qadar akele ho gai hain aaj kal
Koi satata bhi nahi or koi manata bhi nahi…

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar
Log Aksar Dhoka Dete Hai Kareeb Aakar
Kahti Hai Ye Duniya Par Ye Dil Nahi Maanta
Ek Din Chor Jaoge Aap Bhi Hume Apna Hasne ke baad kyon rulati hai duniya
Jaane ke baad kyon bulati hai duniya
Zindagi mein kuch kasar baaki thi
Jo marne ke baad jalati hai duniya…

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar

Ye Dekha Hai Humne Aajmakar
Log Aksar Dhoka Dete Hai Kareeb Aakar
Kahti Hai Ye Duniya Par Ye Dil Nahi Maanta
Ek Din Chor Jaoge Aap Bhi Hume Apna Banakar…

Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai,

Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai,
Humko ab tak, Aashiqui ka, wo zamana yaad hai…
Aisa lagtaa hai, ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai…

Sitam ko humne berukhi samjha

Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha…

Tare asman me chamkte hain

Tare asman me chamkte hain
Badal itni dur hai fir bhi barste hain
Hum bhi kitne nadan hain
Aap dil me rehte hain or hum apse milne ko tarste hai…

Woh ek muskurahat hi hai

Woh ek muskurahat hi hai
jo meri har aansu ko muskurahat bana deti hai
wein do aankhe hi hai
jo mujhe duniya dikhate hai
unka meri nazaro ke samne hona hi
hame ek jindagi deti hai…

Dil Ki Batain Bata Deti Hain , Aankhen ,

Dil Ki Batain Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , To Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,

Aata Hai Jab Jawaani Ka Daur , To Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen…

Jab humne unse pucha sapna kya hota hai

Jab humne unse pucha sapna kya hota hai
To unhone kaha band aankho mein jo apna hota hai
khuli aankhon mein wahi sapna hota hai…..

Sajde dil ke tarane bahut hai

Sajde dil ke tarane bahut hai
Zindigi jeene ke bahane bahut hai
Aap sada muskurate rehna
Aapki muskurahat ke deewane bahut hai …

Zindagi mujhse youn daga na kar

Zindagi mujhse youn daga na kar
Main zindaa rahu bin uske yeh dua na kar
Dekhta hai use koi to hoti hai jalan
Aye hawa tu bhi use chhua na kar…

Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Kar Roye

Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Kar Roye,
Kisi Ki Tasveer Seene Se Laga Kar Roye,
Jo Wadaa Kiya Thaa Humne Kisi Se,
Hum Uss Wade Ko Nibha Kar Roye!!

Hum Dosti Ka Faraz Nibhate Rahege..

Hum Dosti Ka Faraz Nibhate Rahege..Waqt Bewaqt Aap ko Satate Rahege....Dua Karo Ke Umer Lambi Ho Hamari...Warna Yaad Banke Zindagi Bher Rulate Rahenge..

If they make you laugh, kiss your forehead

If they make you laugh, kiss your forehead, say they’re sorry, make an effort, hold your hand, work hard, attempt to understand you, then believe it or not, they’re quite perfect.

We Dont Succeed In Our 1st Love'

We Dont Succeed In Our 1st Love'
Bcoz We Lack Certain Qualites.But After Achievin Those Qualities,We Never Love Again..!

A friend is someone who can

A friend is someone who can see the truth and pain in you even when you are fooling everyone else.

We have known each other our..

We have known each other our whole lives and now we will go our separate ways. Some will remember and some will forget each other, but we will always have a part of each other inside us.

Remember me with smiles and laughter

Remember me with smiles and laughter, for that's how I'll remember you. If you can only remember me in sadness and tears, then don't remember me at all

Close friends are truly life's treasures.

Close friends are truly life's treasures. Sometimes they know us better than we know ourselves. With gentle honesty, they are there to guide and support us, to share our laughter and our tears. Their presence reminds us that we are never really alone.

I always knew that when I looked back

I always knew that when I looked back on the times I cried I would smile. But I never knew that when I looked back on the times I smiled I would cry.

Sometimes you can’t explain

Sometimes you can’t explain what you see in a person. It’s just the way they take you to a place where no one else can.

Cutting people out of my life

Cutting people out of my life doesn't mean I hate them, it simply means I Respect me.

Kya Yahi Hai Kamaal Ishq...


Kya Yahi Hai Kamaal Ishq-o-Mohabbat Karne Ka..!!

Umar Jeene Ki Hai Aur Shauk Marne Ka...!!

Aye Mahobbat Tu Meri Mahobbat Ka Khyal Rakhna


Aye Mahobbat Tu Meri Mahobbat Ka Khyal Rakhna
Me Rahu Na Rahu Tu Use Sambhal Rakhna

Bahut Nadan He Wo Meri Jaan - Ae - Wafa
Tu Uski Hasi Ko Hamesa Bar-karar Rakhna

Na Gire Aansu Ki Ek Bund Bhi Uski Aankho Se
Tu Motiyo Ki Tarah Uske Aansu Ko Sambhal Rakhna

Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Me To Usse Itna Kehna
Ki Main Aaunga Bas Mujh pe Thoda Aitbaar Rakhna

Aur Jab Tak Me Laut Na Aau Tab Tak 
Aye Mahobbat Tu Meri Mahobbat Ka Khayal Rakhna.

Acha hua Maloom ho gaya



Acha hua Maloom ho gaya, 
apno ki Mohabbat ab mohabbat nahi rahi….

Warna hum toh apna ghar bhi chord rahe they, 
unke dil main rehne ke liye….

Wohi haath kisi aur k haathon main



Wohi haath kisi aur k haathon main AjeEb lagta hain,,♥

Jin haathon ki choriyan kabhi to0ti thi mera haath main,,♥

Muhabbat karne waaLo ko inkar Achha nahi lagta



Muhabbat karne waaLo ko inkar Achha nahi lagta,


Dunya waalo ko ye iqrar Achha nahi lagta,
jab Tak ladka ladki bhag na jaye,
Tab tak muhalle waalo ko pyar sacha nahi lagta.

Zikar unka hi aata hai mere fasane mein


Zikar unka hi aata hai mere fasane mein
jinko jaan se zyada chaha zamane mein
tanhaai mein unki hi yaado ka sahara mila
Nakamyab rahe jinhe Hum bhulane mai...

Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao,


Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao,
Bahut Tanha Hon Main Aaj Kash Tum AaJao,
Kabhi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Maine,
Par AaJ Bikhar Gye Hon Main Kash Tum Aa Jao,
Kaafi Din Se Ji Rahe Hoon Bin Teray,
Aaj Nai Guzar Raha Ek Pal Kash Tum Aa Jao,
Waqat Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Hai,
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum Aa Jao..

Mat Pocha Kro MujH Se K Tum


Mat Pocha Kro MujH Se K Tum Mere Kiya Lagty Ho...!
Dil K Liye DharKan Zaroori Hai, Or Mere Liye Tum.....!.

Ye Dil Hi to Janta Hai Meri Pak chahat ka


Ye Dil Hi to Janta Hai Meri Pak chahat ka
Aalam. . .!!

K Mujhe Jeenay k Liye Saanso ki Nhi aap
ki Zarorat Hay ...!!

Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha


Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha,
Saath na chhodo hamara tumse ye he iltaja,

Tumhare saath rehkar humbhi muskurane lage the,
Tum jab humein bayan karke logon ko hasane lage the,

Ab pad chuki hai aadat hamein muskurane ki,
Bhala har gham ko saza kyun ho rulane ki,

Ye sunkar humne ghamon ko gale se lagaya,
Phir kai mehfilon mein humne logon ko hansaya.

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay


Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay 
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho 
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko
her Sitam Bay-misaal Kartay ho 

Pyar use karo jo tumse pyar kare...


Pyar use karo jo tumse pyar kare... #
Khud se bhi jyada tum par aitabar kare... #
Tum bas ek bar kaho ki ruko do pal... #
Aur wo un do palo...
Ke liye puri jindagi intezar kare... #

Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey


Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey,
Na jane kitne tukron mein armaan tutey
Har tukra aayina hai zindagi ka,
Har aayine ke saath laakhon jazbaat tutey

I know you are not for me, But why?


I know you are not for me,
But why?

I'm thinking about you,
why?

My heart beat for you,
why?

My eyes want to see you,
why?

In prayers to God I want you..
Because, i'm invited in your love,

Listen, My Dear, I Love you, I Love
you, I Love you

Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Horahi Thi Sham


Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Horahi Thi Sham
Tum Nay Lia Tha Kanptay Honton Say Mera Naam

Me Nay Kaha Tha "Ao Yonhi Bheegtay Chalain"
In Raston Main Der Talak Ghomtay Chalain

Mere Kamar Me Hath Ye Pholon Sa Daal Kar
Kandhay Pe Mere Rakahy Raho Yonhi Apna Sir

Hathon Ko Kabhi Me Balon Ko Chom Lon
Dekho Mere Taraf To Me Ankhon Ko Chom Lon

Pani K Ye Jo Phol Hain Rukh Pe Khilay Huay
In Me Dhanak K Rung Hain Saray Ghulay Huay

Honton Say Un Ko Chuntay Rahain Khush Dili K Sath
Taray Hamain Talash Karain Chandni K Saath

Yonhi Kisi Darkht K Neechay Kharay Rahain
Barish K Der Baad Bhe Liptay Kharay Rahain

Tum Nay Kaha Tha Ao Chalain Raat Agayi
Dil Jis Say Dar Raha Tha Wohi Baat Agayi

Beetay Samay Ki Yaad He Raston Me Rah Na Jaye
Ye Dil Kahin Visaal Ki Barish Me Beh Na Jaye

Kuch Der Aik Chup Se Rahi Darmyan Me
Girhain Se Jaisay Parnay Lagi Hon Zaban Me

Yak Dum Gira Tha Phol Koi Shakhsar Say
Dekha Tha Tum Nay Mere Taraf Iztarar Say

Barish Me Bheegtay Huay Jhonkay Hawa K Thay
Woh Chand Be Guman Lamhay, Bala K Thay

Nasha Sa Charon Taraf Phailta Gaya
Lamha Lamha Mai Tere Qareeb Aata Gya..

Phir Youn Hua K Waqt Manzil Pr Ruk Gya..
Mai Tujh Mein Rooh Ki Trhan Samaa Gya..!!

Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai


Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai ??

Ghar ka dar har ek ke liye khula rakha per



Ghar ka dar har ek ke liye khula rakha per
dil ka dar sirf apne doston ke liye khula rakha
kaiin arson baad jo mile puraane dost
kuch na rakha dil mein har dard har raaz khula rakha…

Betay pal wapas la nahi sakte



Betay pal wapas la nahi sakte
Sukhe phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte…

Aap khud nhi janti aap kitni pyari ho


Aap khud nhi janti aap kitni pyari ho
Jaan to hamari,,par jaan se pyaari ho
Duriyon ke hone se koi farq nhi padta
Aap kal b hamari thi aaj b hamari ho…!

Apna toh chaahaton mein yahi usool hain


Apna toh chaahaton mein yahi usool hain,
Jab tu qubool hai, toh tera sub kuch qubool hai…♥

Sari Umar Ankho Me Ek Sapna Yaad Raha


Sari Umar Ankho Me Ek Sapna Yaad Raha,
Sadiyan Beet Gayi Jisme Wo Lamha Yaad Raha,
Na Jane Kya Baat Thi Unme,
Sari Mehfil Bhul Gaye Bus Wo Hi Ek Chahra Yaad Raha

kya wajha hai mere darne ki


kya wajha hai mere darne ki,
ab to khwaish hai unki yaado mein marne ki,
unhey kyo itna yaad karta hai dil
jinhe fursat nahi hume yaad karne ki

Zindagi me abhi to bahut chalna baki hain



Zindagi me abhi to bahut chalna baki hain
Abhi to kai Imtehano se gujarna baki hain
Hume Ladna h zindagi ki sabhi muskilo se
Humne toh mutti bhar zameen naapi hain
Abhi to hume sara jahan naapna baki hain …

Tujh Ko Apni Jaan Ka Salam Likhoon Gi


Tujh Ko Apni Jaan Ka Salam Likhoon Gi
Dil Ki Kitab Mein Arman Likhoon Gi
Kash Hum Ko Mil Jaye Aasman Ki Hukumat
Sitaron Ki Jagah Mein Tera Naam Likhoon Gi

In Aankho Me Aansu Ki Jagah Na Ho


In Aankho Me Aansu Ki Jagah Na Ho,
Mere Pass Aap Ko Bhulane Ki Wajah Na Ho,
Agar Bhul Bhi Jaau Kisi Tarah To,
Khuda Kare Ke Zindagi Ke Agli Subah Na Ho. 

AkSar Log ApNe pyar Ki TaRif


AkSar Log ApNe pyar Ki TaRif
KrTe RehTe Hai
TaKi Wo UnSe JuDa Naa Ho
JayE...

Hum Iss LiYe KhaMoSh RehTe
Hai
TaKi
HumaRe Pyar Par Koi Or FiDa
Naa Ho JayE...

Khwab Bankar Aapki Ankho Me Saamana Hai



Khwab Bankar Aapki Ankho Me Saamana Hai,
Dawa Bankar Aapka Har Dard Mitaana Hai,
Qabool Hai Mujhe Zamane Bhar Ki Nafrat Par,
Aapka Pyar Bankar Aapko Pana Hai