Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hain
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai
Hum To Intezar Karte Rehte Hai…
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna…
Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai
isliye shayad woh der laga rahe hai
waqt kat-ta nahin unke bina hamara
yeh jante huve bhi hame sata rahe hai
na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar
jo der se akar bhi woh muskara rahe hai …